Monday, April 6, 2009

Maa

Kitni pyari hoti hai maa,
Sabse niyari hoti hai maa,
Yaad aata hai mujhe wo bacchpana,
Wo lory , wo pyar.
Wo dulaar se khana khilana..

Khud nahi soti, mujhe sulati thi maa,
Kitni pyari hoti hai maa,
Sabse niyari hoti hai maa...

Samay ke ye bahati dhara rukh jata
Chaand aur suraj kho jata,
Kaash mai abhi bacchaa hota
Chhup kar tumhare aanchal mei soya hota.
Swarg tumahari aanchal maa..

Iswaar se yahi prathna karunga har lamho mei,
Tu hi meri maa bane har janmo mei,
Teri sada chhaya rahe mujh par
Bas mera yahi khovaish jeevan bhar....
08/11/2003
raigarh

Saturday, April 4, 2009

Chaand

Jab se chaand jamee par uttari hai
Aansma ko chhor kar ,
Jamee se rista jori hai.

Tere roshni se saj gaya aangan mera
Jisme chhayee thi har pal andhera.
Ban gaya tha, marghat ka dera..
Aaj yaha khushiyon ka lahar bhari hai,
jabse chaand jamee par uttari hai
Aansma ko chhor kar ,
Jamee se rista jori hai....

Samay yuhi bitta raha
Gagan mei chaand chhupti rahi,
Kisi ghata mei aisi kho gayee,
Maano Varso ke liye hum se ruth gai.
Aaj kitne pal beet gaya,
Na chaand dhikha , Na uski Chaandni,
Bankar rah gaya ye adhuri kahani...
Aakhir kaha gayee wo bevapha Divani
01/04/2004

Gajal


Dosto ne aisi kya pilaya ki nasha hi na tha ,

Teri aankhon mei jo baat hai ,

Wo saraab ke piyale mei na tha...

Jindagi ek hasheen jaam ban gai hai,

Mai saraab nahi pita tha , lekin pilane wali mil gai hai...

Aaj ye jaamein saraab hi to meri bandagi hai,

baki jo kuchh bach gaya,

Wo Matra ek aaduri jindagi hai...

Saraab hi wo dava hai jo mere jakhmo par malham lagate,

Nahi to tere yaadoin mei kab ke so jate ...

Pita gaya jaam -ye- saraab pata hi na tha,

Kab maine rakha kadam maykhane mei pata hi na tha....

Dosto ne aisi kiya pilaya nasha hi na tha....

Har roj maykhane mei puchhati hai jaam mujhse,

Na chhorna mujhe ai saathi mere,

Mai sath rahunga hardam tere.........

Sunday, May 11, 2008

Nashaa


Kahte hai isq ek nasha hai
To pine ka maza aane hamse puchhiyen
Pikar jo ludhak gaya
To hosh mei aane ka maza hamse puchhiye..

Dinraat jiske yaadoon mei khokar
Aankho ko rulane ko maza hamse puchhiye
Unhe kya pata jo raat bhar sooee
Palpal marne ka maza hamse puchhiye..

Deewana banakar Dil jalana
Koi tumse sikhe ,
Ek jhalak dikhla kar
Jakhmo par malham lagana
Koi tumse sikhe...

Bin badal barsat ka maza
Papihe se puchhiye ,
To jalti dhup meijalne ka maza
Dharti se puchhiye...

Ham to sarabi hai
paimana lagane ka maza
Saki se puchhiye.......


Tanhaiyaan



Aisi saam dhali thi, yaad teri aai ,
khushbu teri hawawon mei, Roshni aasman mei chhai.
lekin yah khwab tha
isme mai tha aur meri tanhaii..

Dekhta raha tashveer ko tere
Jo tune iss dil mei banai
Charo taraf ujaalle the
Magar iss dil mei andhera chhai..
Khushi aisi rukhsat hui ham se
Lautke na kabhi wapas aaii
Aaj mai hu mai meri tnhaii...

Yaad aa gaya mujhe wo din
Jab tum har gam le leti thi
Aur badle mei khushiyaan deti thi
Lekin aaj jaun to kiske pass
Maine har darwaja band paii
Aaj mai hu aur meri tanhaiii..

Badkismati se hi sahi
Sukragujar hu tera
Jo tune aaina dikhlaii
Khud ke najro mei to gira hi
Ho gai meri jag hasai
ye kahani kisi aur ki nahi
Isme sirf mai hu aur meri tanhaiii...

Sapna kahu ya Hakiqat



Chhutti tha diwali ka Sath mei yaadein ghar ka,
mujhe dar tha padhaee ka ,
Magar yaad aaya ma ki hatha mithaee ka ,
Babuji ka pyar ka ,
To maa ki dulaar ka ,

Baitha gaari mei in yaadon ko sochte sochte huye ,
Rah kat gaya bas dekhte dekhte ,
Jab aankhe khuli to
Maa ka aanchal tha
Aankho mei nami thi , Jigar mei tha pyar
Yahi mera diwali ka sabse bada uphaar..

Jab savera hua to, Akela tha ,
Pass na koi apna tha ,
Yah to matra ek sapna tha...
Yah to matra ek sapna tha.....

album